Kami nahi ab bhi khushi hi hoti hai
Bistar ki silwaton ne mehfooz jo rakha hai palo ko
Lamz ki bhi kya hi khubi hoti hai
Jism na sahi, yaadon se tazaa rakha hai asar ko
Yaad uske baad bilkul nahi kiya aapko,
Ye saas bhulne ki pehle koshish toa kare
Sukraguzar kabhi hue hi nahi aapse,
Ant naa ho ye iski pehle koshish toa kare
Sharmana aaya hi nahi tha kabhi,
Par ab tak ka aajse koi mavaazna hi nahi!
Likhna hamesha auro pe hota hai,
Kya kare, jazbaato ko kahi aur jaana hi nahi!
No comments:
Post a Comment